Akhir Yeh Maan aur Apmaan hota kya hai?
Oh Krsna..
Kya Apne Kabhi Socha hai akhir yeh Maan aur Apmaan hota kya hai ?. Kyun hum kisi ke kuch kehne se itne vichalit ho jaate hai ? Kyun humme kisi ke baataon ka itna bura lagta hai ? Kya aapko pata hai iska Main Kaaran kya hai ? " EGO " Arthaaat "AHANKAR" Uchh athva neech ka bhed bhaav. Iska Ek aur Sabse bada main vajah yeh ho sakta hai ki Jab hum Kisi se bohat lagaav athava Prem karlete hai tab. Kabhi Kabhi yeh Bhaav humme hamare maarg se Bhataka bhi sakti hai. "Main Brahm hu" arthaat I am everything aisa bhaav rakhne vaale log sabse jyaada iss bhaav main aajate hai Jisse unhe aisa lagta hai ki ab mera Maan yaa Apmaan ho raha hai. Kya Yeh sahi hai ? Are jiss cheez se humare andar Badle ka Bhaav jaage woh kaise sahi ho sakta hai. Isse Hum Dukh rupi saagar main dubb jaate hai jisse saare galat bhaav apne aap jaag jaate hai. Hume hamari cheezo se bohat lagaav hota hai par hum yeh nahi jaante ki jiss cheez ke khojaane ke bhaav main hum Dukh mana rahe hai woh Kabhi Humaara tha hi Nahi Iss Jagat Jo Kuch bhi hai sirf Krsna ka hai.
Kya aapko pataa hai Mahabharat Ke Yudh ka asili kaaran kya tha? Yahi "Maan Apmaan" Kabhi Kabhi kisi kaa galti se Apmaan karna bhi Ek bade Yudh ko bulaava de sakta hai. Ji Haa Aap bhi Sochiye Ki aapne kya Kabhi kisi ka galti se apmaan kiya ho ? " Hey Krsna main aapse Shamaa Maangta hu ki agar galti se mere wajah kisika apmaan hua ho toh mujhe maaf kar dijiye". Humaare jeevan humme rozaana aisi baaton se gujarna hoga zaruri nahi ki hum dusro ke wajah se apne paap ko badhaaye dusro kaa apmaan karke. Humme hamari "Sehan" Shakti ko badhaana hoga.Are jab iss duniya main Avtaar lene ke baad Swayam Bhagwaan Ka apmaan hua tha toh hum kya hai bhala.Haa Anaya sehna yeh galat baat hai parantu agar aapke chup rehne se koi badi ghatna dhal sakti hai toh apmaan sehan karna bhi theek hai. Jab Indraprasth ki sabha main ShishuPal ne Bhagwaan ka apmaan kiya toh unhone Shishupaal ko 100 mauke diye athava uss dusht ne usse bhi paar kardiya jiss ke kaaran Vasudev Krsna ne uska Vadh kardiyaa.
Jiss Din Humm Maanglenge Ki iss duniya main hum kuch nahi hai athava sab kuch Krsna ka hai uss din hum iss Maan aur Apmaan ke chakra se bahar nikaljaayenge. Yeh sab hamara brahm hai maan lo toh maan hai varna apmaan.Iss Sansaar main do prakar ke log hote hai jo hamari burai main bhi acchai dhundle aur ek jo acchai main bhi burai.
तुल्यनिन्दास्तुतिर्मौनी संतुष्टो येन केनचित् |
अनिकेतः स्थिरमतिर्भक्तिमान्मे प्रियो नरः ||१९||
Hey Dhananjay, jo insaan Maan athava apmaan mai ek samaan rehta hai jiske liye ninda teen gunn ki bhaasha hai athava jo Sato,Rajo,Tamo insabse ki parwaah nahi kaarta hai wahi siddh purush hai. Wahi mera sabse bada bhaqt.Wahi mere Dhaam ko aa sakta hai.
Jiss insaan ko ninda se koi farak nahi padta hai are bade bade Maha purusho ki bhi bohat niinda hoti thi hame isse sehan karna chahiye athava hame hamari apni sehan shakti ko badhana chahiye.Humme hamar mann Krsna mai lagana chahiye jisse hum isse paraye ho sakenge.
"Sajaa lo ghar ko gulshan saa Avadh main Ram aaye hai"
"Shri Krsna Govind Hare Murari Hey Naath Narayan Vasudev"
iska matlab
ReplyDelete