Humare jeevan ka asli lakshya kya hai bhogi ya yogi banna ?
Oh Krsna..
Hey parmatma main jab jab apka naam leta hu tab tab mere hriday main ek dhvani paida hoti jo mere sharir ko puri taraah sukh ki anubhuti deti. Hey krsna kaanha main main nahi yeh aap ho jo mujhe iss dharatal par rahne ki shakti pradan karte ho.Hey krsna Hey madhusudan iss waqt main puri tarah se swast hu mere jeebh pe mere kaano main mere mann mere natho main iss waqt sirf tumahar hi naam jap ja raha hai mujhe iss waqt aap vaikunth bula le jiye taaki mera mann bina kahi vichalit hue aap tak pahuch sake kyunki mrytu ke samay main nahi jaanta ki mere mann kya soch raha hoga aur aise jeevan ka main kya karunga jisme aapke naam ki dhvani naa ho kaanha.
Jab koi vyakti icchaon ko avayashakta samjhne lagta hai,kintu humaare liye dhan kitna hi kyun naa ho parayapt nahi hota kyunki icchain anthinn hain isiliye manushya kabhi naa samapt hone waali ichaon ki purti hetu dhan sanchay ko hi apne jeevan ka lakshya samajh leta hai,woh lobhi ban jaata hai woh bhul jaataa hai ki uske jeevan ka param lakshya Ishwar ke samep aana hai. Aisa lobhi vyaktion ko apne mrytu ke samay bhi yahi dukh rehta hai ki unhone kya kuch nahi paaya kya shesh reh gaya aisa samay ve ek shan ke liye bhi ishwar ka smaran nahi karte apne jeevan ki niraksakta aur nirartatha ka bodh nahi hota.
Hum jisse janm din kehte hai woh mrytu ki shuruaat hai 70 varsh baad ve mrytu ko zarur prapt honge yeh nischit hai mrytu akasmik nahi hai ki hum achanak se mrytu ko prapt hai ve roj roj mrytu ko prapt honge janm se lekar mrytu hum roj marte hai aur iss mrytu ki kriya ko hum jeevan samaj lete hai kal aur aaj main or kal main hum thoda thoda mrytu ko praapt ho chuke hai varna hum budhe nahi hote main aapse yeh nivaden kardu ki yeh jeevan hi nahi hai jise hum jeevan keh rahe hai yehto bass hamare mrytu ki shuruat hai jo anth se shuruat tak hum bhogte hai.
Ek din ek buddha purush Bhagwan Buddh ke pass aya tab Bhagwan ne unse pucha ki tumhari aayu yaani umar kya hai tab use buddhe purussh ne kaha meri aayu hai 4 varsh isse bhagwaan bhi vichalit hogaye ki yeh purush kya bol raha hai isko dekhne se toh iski aayu 70 varsh ki lagti hai tab uss budhe purush ne bhagwan Budhh se kaha ki Aaj se 4 varsh purv tak mai bass bhog ke liye apna jeevan jiye jo sirf bahari dikhaave ke liye tha ab mai apne bheetar se jee raha hu jisme sirf uss param gyaani parmatma ka naam hai Ek yogi ka jeevan bita raha hu.
Humme yeh jeevan apne liye nahi mila yeh jeevan uss parmatma ka naam japne ke liye mila hai jo humaare pita hai hum isss maya ke paash iss tarah phass chuke hai ki humme samajh hi nahi aata ki hum kya kare.
अनन्याश्चिन्तयन्तो माम् , ये जनाः पर्युपासते ।
तेषां नित्याभियुक्तानाम् , योगक्षेमं वहाम्यहम् ।।
जो जन अनन्य भाव से, मेरी उपासना में रत रहते हैं;
उन नित्य मुझ में ही लीन रहने वालों का
योगक्षेम मैं वहन करता हूँ।
“The devotees, who loving none else, constantly think of me, and worship me in a disinterested spirit, who are in union with Me always, I personally meet their requirements and take guard of their interest.”
Devotion or Bhakti is excessive love for Divinity. It is the Love for Universal Self. It is Love without any expectancy. The nature of a real devotee is elucidated in the twelfth chapter. The God vouchsafes for the Yoga and Kshema of such a person who is very well established in real Bhakti. Yoga means obtaining the unobtained. Kshema means, preserving the obtained. This means, the Lord ensures the supply of resources/needs required for spiritual prosperity and protects the resources already acquired through Sadhana, in the vagaries of life. Thus the fruits of spiritual practices are insured against the oddities of life. One may ask what about earthly things? We should always remember that God is the sustainer of the entire universe, which includes all of us.
“Gopaala iti matvaa tvaam prachuraksheera vaanchayaa
Shrito maatuhu sthana ksheeramapi labdum na shaknuyaam.”
“Hey Gopala the protector of cows, with a desire to drink milk sumptuously, I took shelter in you; but You deprived me of even mother’s milk.” Depriving of mother’s milk stands for conquerring births and deaths or liberation. The devotee means, I took shelter in you seeking material things; but you conferred upon me the infinite Bliss.
"Mere Krishna ka naam tum lete toh chalo sab par vijay paaate chalo"
"Shri Krsna Govind Hare Murari Hey Naath Narayan Vasudev"
Comments
Post a Comment