Humare Jeevan main CHARITRA(MORALE ) ka Mahatva(importance) kya hai ?

                             

                                                                          Oh Krsna..

 Sukh bhi mujhe pyare hai dukh bhi mujhe pyare hai mai kisko chhodu hey naath dono hi tumhare hai .Hey Naath main tumhe kabhi bhulu nahi .Hey Krsna jab jab mere nayan se ashru girte hai usme main tumhe dekhta hu meri har ek shwaas main tumhaara naam hota hai .Mera Yeh Jeevan tumhara hai kaanha main isse sadev tumhari Bhakti main laagau aisi shakti dena mujhe hey murali dhar jiske Shakti se langda chalne lagta hai Gunga bolne lagta hai main usse Vasudev shree Krishna ko apne aapko samarpit karta hu. Hey Achyut tum mujhe kabhi chod kar na jaana Mera jeevan sadev tera naam lete hue jaaye .Main Apne jeevan se "Main" hatakar Sirf aapse prem karu Hey Baake Bihari aaapke in sundar nayan ko dekh kar mera aatma tusht ho jaati hai mere yeh nayan sadev aapko dekhne main jaaye aisi shakti dena Kaanha.

" Murali Manohar ,Govind Girdhar, Namami Krishnam Namami Krishnam"

Kya aapne Kabhi Socha humare jeevan main Charitra ka kya Mahatva hota hai? Pehli baat toh yeh Yeh Charitra kya hota hai? Asal main yeh Charitra hi hamara jeevan hai .Yeh Charitra hi hamare jeevan ko adhaar hai jiske Charitra acha hota hai uske paas kuch naa hote hue bhi sab kuch hota hai . Yeh Charitra hi hamare jeevan ka nirmaan karta hai .kai kai janm lag jaate hai apna charitra banane main isse humme kabhi nahi khona chaiye.Jiske paas Charitra hai uske paas asli Shaktiyaan hai. Charitra ka seedha seedha matlab kahe toh ek adarsh vyakti hai. Yeh asli gyaan hai jo humme Vaikunth pahuchata hai aur yeh bhi unki hi kripa se ho sakta hai.Dhan toh sab paalete hai par jo accha charitra prapt karleta hai uski hi kirti badhti hai. Aaapki Soch ,Aapke Karm kaise hai ,Aapka vyaktitva kaisa hai yeh sab yeh sab aapke Charitra ka nirmaan karte hai.


na māṁ karmāni limpanti

na me karma-phale sprhā

iti mām yo ’bhijānāti

karmabhir na sa badhyate

Translation:

There is no work that affects Me; nor do I aspire for the fruits of action. One who understands this truth about Me also does not become entangled in the fruitive reactions of work.

Kehte hai aapka Charitra agar bigaad jaata hai toh usse Bhagwad kripa se hi sudharaa jaa saakta Ekdum Devi Ahilya jaise jab Shree Ram ne apni charan dhuli unpar daali toh vae toh Ahilya se Devi Ahilya ban gayi.Charitra aapke sharir ke liye nahi aapke aatma ka shudhikaran karti hai aur aapka maan badhati hai. Ek the maha bhakt Sudaaama jinka Charitra toh Swarn se leekha jaata hai jinke Charitra kaa naam hi Shree Krsna tha .Hum apne jeevan ke baad agar peeche kuch chod jaate hai toh woh hai humara Charitra. Ek baaar mere Kanha ka naam lelo yeh pura jeevan sawar jaayega ekdum uss Sawariya ke jaise.



janma karma ca me divyam

evaṁ yo vetti tattvataḥ

tyaktvā dehaṁ punar janma

naiti mām eti so ’rjuna

Translation:

One who knows the transcendental nature of My appearance and activities does not, upon leaving the body, take his birth again in this material world, but attains My eternal abode, O Arjuna.

Sudama , kehte hai Sun Raja ab tyaag de yeh jhuta maan gumaan do din ke yeh thaat hai do din ki baat Bhajle Hari Hari.Humaare jeevan bhi iss par adharit hai jeevan ko toh sadev unke naam japne main,Unka prasad khaane main Unki Sundar Charitra sunne main lagana chaiye.Sarvanaash ke mul hai saare Bhog vilaas Sirf Charitra hi kaam aayega kyun humaae paapo ko koi aur dusra nahi bhogna waala isse humme swayam bhogna hai. Are Charitra banana hai toh Ram ji jaise banao ,Sudaama ji jaise banao jinki baatein hum aaj bhi karte hai.

        "Shri Krsna Govind Hare Murari Hey Naath Narayan                                                           Vasudev"

Comments

Popular posts from this blog

Humare jeevan ka asli lakshya kya hai bhogi ya yogi banna ?

Hum apne Mann (mind) ko kaise control kar sakte hai ?