Posts

Humare Jeevan main CHARITRA(MORALE ) ka Mahatva(importance) kya hai ?

Image
                                                                                                                           Oh Krsna..   S ukh bhi mujhe pyare hai dukh bhi mujhe pyare hai mai kisko chhodu hey naath dono hi tumhare hai .Hey Naath main tumhe kabhi bhulu nahi .Hey Krsna jab jab mere nayan se ashru girte hai usme main tumhe dekhta hu meri har ek shwaas main tumhaara naam hota hai . Mera Yeh Jeevan tumhara hai kaanha main isse sadev tumhari Bhakti main laagau aisi shakti dena mujhe hey murali dhar jiske Shakti se langda chalne lagta hai Gunga bolne lagta hai main usse Vasudev shree Krishna ko apne aapko samarpit karta...

Akhir yeh Maya hai kya ?

Image
                                               Oh Krsna.. Hey, Dwarikadhish Mujhe samjh nahi aata ki main apne jeevan mai itna vichalit kyun rehta hu ,woh aisi kaunsi cheez woh aisi kaunsi shakti hai jo mujhe har waqt ek samasya mai daal deti hai ,mujhe sahi aur galat ka farak pata hote hue bhi main iski taraf kyun itna akarshit hota hai,jab ki mera hriday toh krsna naam ke bhajan main lipt ho chuka,,Mere nayan se jab aaasu girte hai tab unhe main tera hi naam hota hai ,Hey krsna  mera prem toh sirf aapke liye hai ,Hey Mayapati Hey Girdhar mujhe shakti de ki main Maya se paar hoke Mayapati ke pass pahuch saku.Yamuna kinaare Dhenu chaarave madhav madan murari jo iss dun har ek dukh ko har leve main apne aapko aapki sharan main rakhtaa hu jisss mera yeh "Main" anubhav khatam ho jaeyga. Mera Yeh jeevan jo aapki kripa se prapt hai main iss sirf aapke liye upyog karu. ...

Humare jeevan ka asli lakshya kya hai bhogi ya yogi banna ?

Image
        Oh Krsna.. Hey parmatma main jab jab apka naam leta hu tab tab mere hriday main ek dhvani paida hoti jo mere sharir ko puri taraah sukh ki anubhuti deti. Hey krsna kaanha main main nahi yeh aap ho jo mujhe iss dharatal par rahne ki shakti pradan karte ho. Hey krsna Hey madhusudan iss waqt main puri tarah se swast hu mere jeebh pe mere kaano main mere mann mere natho main iss waqt sirf tumahar hi naam jap  ja raha h ai mujhe iss waqt aap vaikunth bula le jiye taaki mera  mann bina kahi vichalit hue aap tak pahuch sake kyunki mrytu ke samay main nahi jaanta ki mere mann kya soch raha hoga aur aise jeevan ka main kya karunga jisme aapke naam ki dhvani naa ho kaanha. Jab koi vyakti icchaon ko avayashakta samjhne lagta hai,kintu humaare liye dhan kitna hi kyun naa ho parayapt nahi hota kyunki icchain anthinn hain isiliye manushya kabhi naa samapt hone waali ichaon ki purti hetu dhan sanchay ko hi apne jeevan ka lakshya samajh leta hai,woh lobhi ba...

Hum apne Mann (mind) ko kaise control kar sakte hai ?

Image
                                                                        Oh Krsna.. Mann Ka Swami hai tu Mann tera das hai fir tu kyun udas hai ..............? Kya yeh sahi hai nahi na  yaha toh ulta hogaya pure logo ke liye jahan mann ja raha hai waha bhaag rahe hai log.Yeh sab toh bass mann ki gulaami hogayi ji haan mera mann aaj aisa kar raha hai aaj waisa kar raha hai yeh sab gulaami hai hum apne sharir apne mann ke gulaam hogaye hai. Pata hai yeh mann badi hi vichitra kriti hai sharir ke kis angg main bass ta hai yeh koi naa jaane kyunki sampurn sharir is mann ki iccha saakar karne ke liye prayas karta rehta hai yadi mann kuch khaane ka kare toh vyakti isse pura karne ka kuch na kuch prayas karta rehta hai aur yadi mann kisiko apna shatru samajh le toh vyakti usse nasht karne ka har sambhav prayas k...

Akhir Yeh Maan aur Apmaan hota kya hai?

Image
                                                              Oh Krsna.. Kya Apne Kabhi Socha hai akhir yeh Maan aur Apmaan hota kya hai  ?. Kyun hum kisi ke kuch kehne se itne vichalit ho jaate hai ? Kyun humme kisi ke baataon ka itna bura lagta hai ? Kya aapko pata hai iska Main Kaaran kya hai ? " EGO " Arthaaat "AHANKAR" Uchh athva neech ka bhed bhaav. Iska Ek aur Sabse bada main vajah yeh ho sakta hai ki Jab hum Kisi se bohat lagaav athava Prem karlete hai tab. Kabhi Kabhi yeh Bhaav humme hamare maarg se Bhataka bhi sakti hai. "Main Brahm hu" arthaat I am everything aisa bhaav rakhne vaale log sabse jyaada iss bhaav main aajate hai Jisse unhe aisa lagta hai ki ab mera Maan yaa Apmaan ho raha hai. Kya Yeh sahi hai ? Are jiss cheez se humare andar Badle ka Bhaav jaage woh kaise sahi ho sakta hai. Isse Hum Dukh rupi saagar ...

Akhir Yeh Sukh aur Dukh hai kya ?

Image
                                                         Oh KRSNA .. K ya aapne kabhi socha hai akhir yeh Sukh aur Dukh hai kya ,kyun hum isme itne vichalit ho jaate hai ,kyun humme isse guzarna hota hai, agar seedhe seedhe bole toh iska saral definition toh yeh hota hai ki agar cheeze humaare hisaab se ho rahi ho to hume Sukh feel hota hai agar nahi ho raahi toh Dukh. Kya aapne kabhi sochaa hai ki 2 baccho ka janm hota hai ek ka janm Raja ke pass ek ka janm bhikari ke pass akhir aisa kyun hotaa  darasal yeh sab humaare hi Karmo ka fall hota hai jo humme upaar yeh neeche le jaata hai is adhunik jagat main gareebi sabse bada abhishaap hai Yeh tab hota jab humne apne jeeevan main kaabhi daaan nahi diyaa hota hai .Krsnaa humara test le re hai jiska result humme baad maain milega jab hum karm hinn ho jayenge tabb uss result ke hissab se humme...

Woh aisi kaunsi cheeze hai jo humme galat raha par le jaati hai?

Image
    Oh KRSNA .. Hamari soch sab se jyaada galat hai kyun ki isse hum sirf apne liye sochte hai aur apne liye   Socha gaya har kaam hame lobh ki aur lejaata hai isse hum aisi adhogati tak pohch jaate hai   jaha se bahar nikal paana bohat kathin hota yeh jeevan hume isiliye nahi mila ki hum isse apne  lobh pura kar sake balki is jeevan ka hamaara antim laksh yeh hona chahiye  jo hai Hari ke   Dhaam yaani " vaikunthlok ". Isss manushya yoni mai hame aise karm karne chahiye jisse hum  Vaikunth ke adhikaari ban sake. Par hum iss bhotik Sansaar main aa phas gaye hai jisse  hume   Sirf "krsna" hi nikaaal sakte hai.Aur pata hai hamaare jeevan neecche giraane main kin teen   cheezon kaa haath hota hai.   Sabsse pehle aata hai "Kaam " dusra jo iske neeche hai woh hai   "Krodha"  aur last hai "Ahankaar" hame lagta hai hum hi sarv hai in teen cheezo se ke   wajah se In main se sab...