Posts

Showing posts from February, 2021

Humare jeevan ka asli lakshya kya hai bhogi ya yogi banna ?

Image
        Oh Krsna.. Hey parmatma main jab jab apka naam leta hu tab tab mere hriday main ek dhvani paida hoti jo mere sharir ko puri taraah sukh ki anubhuti deti. Hey krsna kaanha main main nahi yeh aap ho jo mujhe iss dharatal par rahne ki shakti pradan karte ho. Hey krsna Hey madhusudan iss waqt main puri tarah se swast hu mere jeebh pe mere kaano main mere mann mere natho main iss waqt sirf tumahar hi naam jap  ja raha h ai mujhe iss waqt aap vaikunth bula le jiye taaki mera  mann bina kahi vichalit hue aap tak pahuch sake kyunki mrytu ke samay main nahi jaanta ki mere mann kya soch raha hoga aur aise jeevan ka main kya karunga jisme aapke naam ki dhvani naa ho kaanha. Jab koi vyakti icchaon ko avayashakta samjhne lagta hai,kintu humaare liye dhan kitna hi kyun naa ho parayapt nahi hota kyunki icchain anthinn hain isiliye manushya kabhi naa samapt hone waali ichaon ki purti hetu dhan sanchay ko hi apne jeevan ka lakshya samajh leta hai,woh lobhi ba...